MY INSPIRATION

MY INSPIRATION

Search This Blog

Friday, June 22, 2012

Saath ho ke bhi zindagi aaj tu kahin nahi


Saath ho ke bhi zindagi aaj tu kahin nahi
Tere saath hone ka woh  ehsaas aaj nahi
Aaj bhi teri hansi chandni si baras rahi
Lekin is chand se chehre pe roshni meri nahi

Teri aakhon main ye chamak dekhi na thi kabhi
Phoolon si ye hasin khili nahi itni pehle kabhi
Seene main mere bechaini behisaab badh rahi
Saansein is tanhayee main kyun tham si jaa rahi

Tu mujhse ikdin door hone ke liye hi hai bani
Reh jaye shayad meri zindagi adhuri hi sahi
Harpal meri dhadkane mujhse ye keh rahi
Yeh teri chaahat ke sahaare hi ab  dharak rahi

Duniyaan samjhe  tumko door mujhse bhalehi sahi
Tum wafa banke hardum mere saath rahogi yahin
Meri yaadon mein teri aankhein rahengi harghari
mujhmein teri chaahat rahegi zindagi banke basi

Roshni se bhari yeh duniyaan teri ho


Aasmaan ke saare tare tumko mile,
Saat samandar ke aansu mere hon.

Phoolon ki mehek tumhaari sanson ko mile,
Kaanton ki chubhan mere seene mein ho.

Vasant ki khushnumaa subah tumko mile,
Pat-chad ki veerani sham meri ho.

Sawan ki phoohar tumhaari bagiya ko mile,
Sukhe ki tadap meri zindagi mein ho.

Chaahat ke sab rang tumko mile,
Nafrat ke saare zang mere hon.

Khushiyon ke saare shikhar tumko mile,
Gam ki sabse gehri khai meri ho.

Sapnon ki woh haseen wadiyaan tumko mile,
Hakeekat ke yeh jalte registaan mere hon.

Low ki jalan umar bhar mujhko mile,
Roshni se bhari yeh duniyaan teri ho.

Main tujhmein utna hi gum hua jitni door tu mujhse jaati rahi


Hashraton  ki ye duniyaan khud mein  jalne lagi
Armaano ke saare suraj samundar main bujhne lage
Mere jajbaat aaj alfaazon ki talash main bhatakte rahe
Main tujhmein utna hi gum hua jitni door tu mujhse jaati rahi

Jub jub dekhta hoon teri in aankhon main


Jub jub dekhta hoon teri in aankhon main
amawash raatein chandni main bheeng jaati hai.

taaron si timtimati in ankhon ke noor main
is jahaan ki saari roshani benoor nazar aati hai.

neend se bhari teri surkh aankhon main
khwabon ki ye saugaat bhi haqikat si dikhti hai.

kazal ki lakeer se bandhi  chanchal aankhon main
teri ye duniyaan apni hi zindagi si lagne lagti hai.

zehen main unki aankhon ke siwa koi yaad nahi milti


Khwabon main unse hui wo mulakat
Kabhi mere sehar main nahi milti

Chahta hoon unpe sab kuchh luta doon
Magar mujhe unki wafa nahi milti

Bhool jana chahta hoon wo saari baatein
 unki baton main bewafai nahi milti

sochta hoon kahin or ja ke dil laga loon
zehen main unki aankhon ke siwa koi yaad nahi milti

Ye Zindagi ek safar ho


Ye zindagi ek safar  ho or meri zindagi rahi ban jaye
Ye zindagi ek nav ho or meri zindagi patwaar ban jaye
Khuda ki rehmat ho ki saath chalta rahe apne ye karwaan
Ki ye zindagi ek nadi ho or meri jindagi dhara ban jaye 

Tum Bin


kabhi jaagti raho main so gaya tum bin
kabhi soti raaton main jaagta raha tum bin
kabhi kamre main tanhayee se baatein kiya tum bin
kabhi bhari mehfil main akela raha tum bin
beete chand lamhon ki yaadein saath hain mere
kabhi hans liya tum bin to kabhi ro liya tum bin. . .