MY INSPIRATION

MY INSPIRATION

Search This Blog

Thursday, April 8, 2010

I WANNA SEE UR BEAUTIFUL FACE ONCE

My eyes wanna see
your beautiful face once.

The iron wanna perceive

the presence of gold once.


My ears wanna hear
your sweetest voice once.
the dry desert wanna live

a season of spring once.

My shadow wanna walk

wid the shadow of ma angel once.

The lonely lighthouse wanna get poured

wid the naughty waves once.

My heart wanna feel

its self beat in ur holy heart once.

The eclipsed sun wanna give

its own rays to the silvery moon once.

SWARNIM SAWERA HO RAHA HAI

Sub sitaare gumshuda hain
Ki chaand aashmaan main pura khila hai.
Palke neend se bhari hain
ragon main ek ajab sa jawar machal raha hai.
hawaein jo os si sheetal hain
unki har chhuan se nasa sa chha raha hai.
tere chehre be bikhri hui un julfon main
mera apna ye jahan luta ja raha hai.
sadiyon ki duri pe chmakta ye chand
mujhe khud se bhi jada kareeb najar aa raha hai.
teri aankhon main bhari hajaaron hasharatein
mere neendon main sapnon ka swambar laga raha hai.
ki aaj phir mere tanha man main
teri yaadon ka swarnim sawera ho raha hai.

chand kabhi kho raha hai badalon main
kabhi chandini mere chere pe barsa raha hai.
larakpan ki teri jhimil yaadon main
dooba mera man tera dewaana hua ja raha hai.
ghatain bhi bheeng rahi hain is chandini main
ki berang bhi rajat sa jagmaga raha hai.
maasoom si teri us hasin main
gujarta hua her lamha thehar gaya hai.
raat ki is raani ki shokhi main
pura gulistaan madhosh hua ja raha hai.
tere yauwan ki khushboo main
mera  naamonishaan mita ja raha hai.
aaj phir mere sune dil main
teri dharkano ka swarnim sawera ho raha hai.

Tuesday, April 6, 2010

PHIR YAAD TUMHAARI AATI HAI

Jub aankhein roushan hoti hain
tumko pass na pakar
door hone ka ehsaansh dilaati hai.
jub dil dilasa deta hai
wo saanson mein khushboo ban kar
har pal pass tumhaare aati hai.
shanshon ki in aahat mein
phir yaad tumhari aati hai
phir yaad tumhari aati hai

jab ganga mein leharein uthti hain
lehron mein keshariyan lehre ghulti hain.
jub saanjh pehar door kshitiz pe
suraj se dharti ka milan dikhayi deta hai.
bujhte hue us deewane main
teri hi roushini dekhayi deti hai.
phir yaad tumhari aati hai
phir yaad tumhari aati hai

Jub sheher ki virane galiyaaron main
patjhar ke sukhe patton ki karah sunayi deti hai.
tapish se jalte hue un peron main
warsha se bheengne ki chah najar aati hai.
panchiyon ke mithe kalrav main
harpal awaj tumhari ati hai
phir yaad tumhari aati hai.
phir yaad tumhari aati hai

jub unki manjilon ko har bar tay kar jaate hain
or khud ko phir khud se hi hara hua pate hain.
jindgi ke har sachche jhoothe faislein
ab paheli si uljha deti hain.
jab jeevan ke kolahal mein
bas apni shishkiyaan sunaayi deti hai.
tab man ke sannate main teri goonj sunaayi deti hai.
phir yaad tumhari aati hai
phir yaad tumhari aati hai

Teei yaadon main khoya

Monk...