MY INSPIRATION

MY INSPIRATION

Search This Blog

Tuesday, April 6, 2010

PHIR YAAD TUMHAARI AATI HAI

Jub aankhein roushan hoti hain
tumko pass na pakar
door hone ka ehsaansh dilaati hai.
jub dil dilasa deta hai
wo saanson mein khushboo ban kar
har pal pass tumhaare aati hai.
shanshon ki in aahat mein
phir yaad tumhari aati hai
phir yaad tumhari aati hai

jab ganga mein leharein uthti hain
lehron mein keshariyan lehre ghulti hain.
jub saanjh pehar door kshitiz pe
suraj se dharti ka milan dikhayi deta hai.
bujhte hue us deewane main
teri hi roushini dekhayi deti hai.
phir yaad tumhari aati hai
phir yaad tumhari aati hai

Jub sheher ki virane galiyaaron main
patjhar ke sukhe patton ki karah sunayi deti hai.
tapish se jalte hue un peron main
warsha se bheengne ki chah najar aati hai.
panchiyon ke mithe kalrav main
harpal awaj tumhari ati hai
phir yaad tumhari aati hai.
phir yaad tumhari aati hai

jub unki manjilon ko har bar tay kar jaate hain
or khud ko phir khud se hi hara hua pate hain.
jindgi ke har sachche jhoothe faislein
ab paheli si uljha deti hain.
jab jeevan ke kolahal mein
bas apni shishkiyaan sunaayi deti hai.
tab man ke sannate main teri goonj sunaayi deti hai.
phir yaad tumhari aati hai
phir yaad tumhari aati hai

Teei yaadon main khoya

Monk...

No comments:

Post a Comment